Special Poem by Priti Saini

 Thought Lantern is proud to feature Priti Saini's poem. 

Poem title – “Umeedo sai bhari subha ki yai kiranai”

Har ek subha apnai sath umeed ki nyi kirano ko laker ati hai,
aaj kya nya avasar hai tumharai liye yah tumko batlati hai,
Yah tumko chetaavanee deti hai, aur kahati hai isai gabana mat,
Kyoki samay lotker bapas nhi ata hai,
Jo isai gabata hai bo badh mai bahut pachthata hai,
aur apni manzil takh kabhi nhi pahunch pata hai,

Yah safalta kabal dhan aur padh ka nam nhi hai,
Yah us har ek insaan kai atmavishwas, sangharsh, mehanat aur vishwas ki kahani hai,
jo kyi bar girta tha aur uskai kadam ladkhadatai thai,
kabhi apnai hei ghar balai, to kabhi iss samajh kai log usai sunatai thai,


Safal honai sai pahalai bo usai har tarah sai satatai thai,
Pur fir bhi bo insaan kudh pur bharosa kerta tha,
Har din kudh ko kudh sai bahatar bananai kai liya kudh sai hei ladhta tha,
Usai kudh pur vishwas tha ki bo ek din kuch asa ker jayega,

ki iss jamanai ka har ek insaan uska hei nam gungunayega,
Fir har taraf uski hei charcha hogi,
Jo insaan usai kudh sai humesha nicha dikhata tha,
Aaj us insaan ka surr saram sai jhukh jayega,
Aur bahi insaan ab samnai sai kudh chalker tumharai pas mafi mangnai ayega.”

Follow us for more such interesting poems and stories by different writers. 

Comments

Popular posts from this blog

Dussehra: The Victory That Lives Within.

Tuesday Special from the Editor's Table.

Exclusive Interview with Shamna T H